New Serious(General) Shayari

Bhoolne wale se koyi keh de zara,
Is tarah yaad aane se kya fayeda,
Jab mere dil ki duniya basti nahi,
Phir khyalon main aaane se kya fayeda,
Aasra de ke dil tor te hain mera,
Is tarah sataane se kya fayeda,
Mujh pe bijli girao to jaanu sahi,
Aashiane par girane se kya fayeda
 
Hasti aaankhain, hastaaa chehra
Ek mujboor bahana hai
Chaand me such mouch, noor kahan hai
Chaand to ek viraana hai
Mujhko tanha chor ne waale
Tu na tanha rah jaye
Jis pe tujh ko naaz hai itna
Uska naaam zamana hai
 
Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulaqaat ki,
Kaye saal se kuch Khabar hi nahin,
kahaan din guzaaraa kahaan raat di,
Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi,
zubaan sab samajhte hain jazbaat ki,
Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin,
musaafir ne jaane kahaan raat ki...
 
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....
 
Aisa lagta hai zindagi tum ho
Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmaanon ki chaandini tum ho
Ab koi aarzoo nahin baakee
joostjoo meree aakhree tum ho
Doston-se wafa ki ummeeden!
Kis zamaane ke aadmee tum ho?

Comments