Nasha Hai Dil Main...

Muskaan hai hontho mein aur hai dil mein khushi
Jab se aap mile ho chhayi hai ek jadugari
Is dil mein ab nahi hai koi bhi kami
Aur aapki mehek se khilne lagi hai ye zami

Dil ko bha gaya hai ye mausam suhana
Dil toh hone laga hai ab aur bhi deewana
Dil na chahe ki aap karo aur koi bahana
Kyuki aapke bin dil ka nahi koi aur thikana

Nasha hai dil mein aur hai ek khumar
Dil toh bas hai aapse milne ko bekarar
Na jaane dil kaise kare aapse ye ikrar
Ki pyar hai is dil mein aapke liye beshumar

Phool nahi hai toh kya hua khushboo ki baatein toh hai
Saath nahi hai toh kya hua woh mulakaatein toh hai
Pyar nahi hai par woh chahat ki raatein toh hai
Aur woh nahi hai toh kya hua palko mein unki yaadein toh hai

Ek pyari si kali thi jo phool ban gayi
Ek nanhi si muskan thi jo hasi ban gayi
Ye choti choti si mulakat ab toh pyar ban gayi
Aur aapka har pal saath toh jaise bahar ban gayi

Din ki shuruvaat hoti hai aapki ek jhalak ke saath
Na jaane kab hai aap ka saath
Aap kahe toh hum aapka haanth thaam le
Na jaane kab hogi agli khushiyon ki barsaat

Comments