mera zikar na karna...

dukh dard ke maro se mera zikar na karna
ghar jao to Yaro se mera zikar na karna

wo zabt na kar paen gay Ankho ke samandar
tum gum guzaro se mera zikar na karna

pholon k Nasheman Mein raha hoon sada se
dekho kabhi gairon se mera zikar na karna

shahyad ye andehre hi mujhe rah dikhaye
ab chaand sitaro se mera zikar na karna

wo meri kahani ko galat rang na de de
afsana nigaro se mera zikar na karna

shayad wo mere haal pe be-sakhta ro de
is bar baharo se mera zikar na karna

le jayenge gehrai me tum ko bhi baha kar
darya ke kinaro se mera zikar na karna

wo shakhs mile to usse har baat batana
tum sirf isharo se mera zikar na karna

Comments