Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab Janta hai ...

Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab janta hai
Koi jaane ke na jane mera Rab janta hai

Jaane kab usko faqiron pe taras aa jaye
Kuch milega ye mera daste talab janta hai

Hazaar bar usse tod ke aa jaun main rishta
Magar wo humko bulane ka hunar janta hai

Main usko bhool ke zinda rahunga kaise bhala
Wo meri sanson ki talab ki wajah janta hai

Mera hasna use achha nahi lagta shayad
Warna wo meri udasi ka sabab janta hai

Comments