Ghazals New Collection...

Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana
na jaane kahan kho gaya vo zamana

tumhen bhuulane ki main koshish karunga
ye vaada karo ke na tum yaad aana

mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai
tumhen bevafaa kah raha hai zamana

Khudara meri qabr pe tum na aana
tumhen dekh kar shaq karega zamana
 
Bebasii jurm hai hauslaa jurm hai
zindagi teri ik-ik adaa jurm hai

aye sanam tere baare mein kuch sochkar
apne baare mein kuch sochna jurm hai

yaad rakhna tujhe mera ek jurm tha
bhool jana tujhe doosra jurm hai

kya sitam hai ke tere hasin shehar mein
har taraf gaur se dekhna jurm hai
 
Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon, kuch roze main bhar jaate hain

Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne roze se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain

Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa
Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain

Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se
Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain
 
Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo

log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo

ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo

shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Pankaj"
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo
 
Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya..

Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..

Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya...

Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka
Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya.....
 
Dost ban ban ke mile mujhko mitaane vaale
mai ne dekhe hain kai rang badalane vaale ........

Tumne chup rahkar sitam aur bhi dhaayaa mujh par
tumse acche hain mere haal pe hansne vaale...

Mai tou ikhlaaq ke haathon hi bikaa kartaa hoon
aur honge tere baazaar mein bikne vaale ......

Aakhrii daur pe salaam-e-dil-e-muztar le lo
phir naa lautenge shab-e-hijr pe ronevaale ...
 
Kuchh na kisi se bolenge
tanhaaii mein ro lenge

hum be-rahabaron ka kyaa
saath kisi ke ho lenge

Khud to hue rusvaa lekin
tera bhaid na kholenge

jeevan zahar bharaa saagar
kab tak amrit gholenge

neend to kya aaegii 'Pankaj'
maut aai to so lenge

Comments