is se bada sabar ka saboot main tujhe kya deta
tu mujh se lipat kar roti rahi wo bhi kisi or ke liye

badal odh ke guzrunga main tere ghar ke aangan se
qos-e-qaza ke sab rangon mein tujh ko bheega dekhunga
raat gayi jab chand sitare mitti khalenge
aadhi neend ka sapna bann ke main bhi tum ko chhoo lunga
be mosam barish ki soorat der talak aur door talak
tere diyar-e-husan pe main bhi kin min kin min barsunga.

dil se tera khayal na jaye to kya karu
tu hi bata tu yaad aaye to kya karu
hasrat hai ki ek nazar dekhun tujhe
kismat magar woh din na dikhaye to kya karu

Comments