Kalyug ka Arena

 
TODAY I AM SHAREING MY POEM WITH EVERYONE,ITS MY FIRST TIME WHEN I POSTED MY POEM INTO WEB WORLD SO PLZ ENJOYING IT,AND SEE WHAT IS A REALITY OF US….
jisne seher nahi dekha samjo wo jamma nahi,
mohbat ke aafsano mai koi gum apna nahi,
jindagi ke safar mai aisa samae deka nahi
ish janman mai tho khuda bhi apna nahi,
kalyug ka sheher h yeh,
aur ish mai hum peida hua
jhutti h hasti teri,
jis key liye mai marta fira,
mai roz yahan par ladta hu,
kabhi mazid tho kabhi mandir ko toda karta hu
intzaar bus itna h kab hum log jeena sikege,
halat se samzota na kar ke, ushe badalna sikege,
insaano ki sakal mai hum yahan par darinde h
humse tho acche wo asshman key parindey h
khuda ko dekha nahi fir bhi ush ke naam par mai ladte rhete hu
jo mazboor h mere samne ush ko undekha karte rheta hu
kheta h sadhu ki bhagwan kalki janam lenge ish jahan mai,
par mai tho roz naye kalki ko dekha karta hu,
ish kalyug samaz mai aando ka raila dekha karta hu,
matlabi bazzar mai khuda ka ghar saja hua dekha karta hu,
bharo ka karva pootpath mai chalta hua dekha karta hu,
ish samaaz key arena ko har samat badlte dekha karta hu,
poochta h jo garib mere chukat mai aa kar,
badal jayegi kya meri duniya thughse 4 paise lekar

Comments