Baat Chali Teri Aankhon Se Ja Pahunchi Paimane Tak

baat chali teri aankhon se ja pahunchi paimane tak
kheench rahi hai teri ulfat aaj mujhe maikhane tak

ishq ki baatein gham ki baatein duniyawale karte hain
kisne shama ka dukh dekha hai, kaun gaya parwane tak

ishq nahin hai tum ko mujhse sirf bahane karti ho
yunhi bahane qayam rakhna tum mere mar jane tak

itna hi kehna hai tumse mumkin ho to aa jana
aa hi gaye to rukna hoga, aankhon ke pathrane tak

Comments