Sirf Tum

Hum mai or tum mai
kab yeh teh huwa tha???
k phir milege zindagi k kisi mord par
kab yeh kaha tha k bin tumhare
na jee sakhainge hum
buhat tarpaye ga yeh hijar ka mosam
yeh sawan aur pat jhar ka mosam
kab yeh teh huwa tha
k sar shaam hi
tumhari yaad utar aayegi
is dil k aangan mai
AGAR! yeh sab teh nahi huwa tha tu
barso bad guzar jaane k bad bhi
meri wehshoton meri yaadon meri tanhiyon mai
sirf TUM hi TUM kyun hon?

*** *** ***

Kabhi yu.n bhi aa meri aankh mei.n ki meri nazar ko khabar na ho
Mujhe ek raat nawaaz de magar iske baad sahar na ho

Come into my eyes some time that my sight is not aware of it
Allow me just a single night, but let not the dawn arise after it

*** *** ***

Mai.n tamaam din ka thakaa hua, tu tamaam shab ka jagaa hua
Zara thahar ja isi moD par, tere saath shaam guzaar loon

I am tired after the entire day, you have stayed awake the entire night
Pause at this very corner, and let me spend an evening with you

*** *** ***

Charaago.n ko aankho.n mei.n mehfooz rakhna
Badi door tak raat hi raat hogi
Musafir hain ham bhi musafir ho tum bhi
Kisi moD pe phir mulaaqaat hogi

Keep the lamps safe in your eyes
The night (darkness) will spread far and beyond
I am a traveller, you are also a traveller
We shall meet again at some corner

*** *** ***

Ajeeb shakhs hai naaraaz hoke hansta hai
Mai.n chahta hoo.n khafa ho to woh khafa hi lage

He is a strange person - he laughs when offended
I wish that if he is angry, he should look so

*** *** ***

Kisi ki raah mein dehleej par diye na rakho
Kivad sookhi hui lakdiyo.n ke hote hai.n

Kadeem kasbo.n mei.n kaisa sukoon hota hai
Thake thakaye hamare bujurg sote hain

Do not light lamps at the doorstep in someone’s wait
The doors are made of dry wood

There is such a comfort in old towns
Our weary forefathers rest out there

*** *** ***

Koii haath bhi na milayega jo gale miloge tapaak se
Yeh naye mijaaz ka shahar hai zara faasle se mila karo

No one will even shake hands, if you eagerly hug them
This city has a new mindset, here, meet people at a distance

*** *** ***

Jis din se chala hoon meri manzil pe nazar hai
Meri aankh ne kabhi miil ka pathar nahin dekha

Yeh phool koii mujhe viraasat mei.n mile hai.n
Tumne mera kaanto.n bhara bistar nahin dekha

Since the day I started, I have my sight on the destination
My eyes have never watched out for milestones

Do you think I inherited these flowers
You have not seen my bed of thorns

Comments