Mujh say nafrat hai agar usko tou izhaar karey

Mujh say nafrat hai agar usko tou izhaar karey,

Haath haathon mein na day baat hee karta jaaye,
Hai bohut lambaa safar yuun tou na darta jaaye,

Jee mein thaani hai kay jeena hai beher-e-haal mujhay,
Jiss ko marna hai who chup chaap hee marta jaaye,

Khud ko mazboot bna rakhey pahaadon kee tarah,
Reit kaa aadmi andar say bikhrta jaaye,

Surkh phoolon kaa nhi zard udaasi ka sehi,
Rang kuchh tou meri tasveer mein bhartaa jaaye,

Mujh say nafrat hai agar usko tou izhaar karey,
Kabb main kehta hoon mujhay pyaar hee karta jaaye,

Ghar kee divaar ko itna bhi tou ooncha na bnaa,
Tera hamsaayaa terey saaye say dartaa jaaye,

Comments