Kisi pagal kavi ki kalpana ho tum,
Khud ko bhul jau wo nasha ho tum,
Ab hosh no aaye to behtar ho,
Sapna hi sahi mere apna ho tum.

Aankhon me rahne walo ko yaad nahi karte,
Dil me rehne walo ki baat nahi karte,
Hamari to ruh me bus gaye hain aap,
Tabhi to hum milne ki fariyaad nahi karte.

Kabhi jazbaat to kabhi yaadon ko dafan karte hai
Kabhi aansu to kabhi dard piya karte hai
Kya khub taqdir di hai khuda ne
Har roj mar mar k jia karte hai.

A phool mujhe bata tu aaj tak kyun khilta raha,
Tune to di sabko khusbu tujhko kya milta raha,
Phool ne kaha tu abhi nadan hai pyar ke sachhe matlab se anjan hai,
Dene ke badle lena, wo to ek vyapar hai,
Jo dekar bhi kuch na mange wahi to sachha pyar hai...

Yeh Zindagi Bhi Na Jane Kitne Mod Deti Hai,
Har Mod Pe Naye Sawal Deti Hai.
Dhundte Rehte Hai Ham Jawab Zinagi Bhar,
Jawab Mil Jaye To Wo Sawal Badal Deti Hai.

Dard e dil kisko batayein;
Hume yahan har doosra diljala mil jata hai;
kambaqt yeah tera chehra
Humein ab sharab mein bhi nazar aata hai;
sochta hoon dil badal loon lekin
Har dil mein tera ehsaas mil jata hai.

Mumkin nahi shayad kisi ko samajh pana.
Samjhe bina kya kisi se dil lagana.
Aasan hai kisi ko pyar kar na.
Par usse bhi mushkil hai kisika pyar pana.

Kaanta na hota tau phool ki hifaazat na hoti,
Andhera na hota tau roshni ki zaroorat na hoti,
Agar mil jaati har khushi duniyan mein yunhi,
Tau dil ki mulaqat dard se na hoti.

Ishq karta hun main tumse yeh meri wafa hai.
Isko tuna samaj paye tu bewafa hai.
Kabhi to zaroor jab tu dhokha khayegi
Tab meri wafa tumhe zaroor tadpayegi

Comments