Kaash kabhi hota yeh meray ikhtiar main

Kaash kabhi hota yeh meray ikhtiar main
maiN rang deta janan tujhe apnay peyar main

main itna peyar deta tujhe jan-e-arzoo
tu khud ko bhool jati meray aitbaar main

tu jo kabhi bulati mulaqaat ke liye
be-chain ho k phirti meray intizar main

main dair say jo aata naaraaz ho ke tum
har baat ka jawab deeti inkaar main

tu jo kisi baat par mujh se rooth jati
main tujhay manata bare israar main

maan kar tu mujh se sirf yehi kehti
hai yaqeen nahin kami koi tere peyar main

kash kabhi hota yeh meray ikhtiar main
main rang deta janan tujhe apnay peyar main

Comments