Dil ki zameen pe fir koi podha nahin laga....

Dil ki zameen pe fir koi podha nahin laga
tuj se biichar ke fir koi accha nahin laga,

batein vahii, zabaan vahii tarz bi vahii
lehja magar mujhe tera waisa nahin laga,

aankhon pe aur zabaan par pabandiiya lagi
lekin hamari soch pe pehra nahin laga,

itne fareb khaye chaht ke naam par
apna jo keh raha tha voo apna nahin laga

Comments