Aisa hi hota hai!

Aisa hi hota hai
K jisko jitna sambhalo..

Utna hi door chala woh jata hai !
Lekin aisa wakyaa bhi hota hai

Rota hai koi tootkar tanhai mein,
Phir bhi duniya mein woh hasta hai

Lagta hai jaise mitai thi hasti,
Sab jaise ab hara hua sa lagta hai ..

Jaane kitne wade liye-diye,
Chhootne pe sab bojhil sa dikhta hai

Aisa hi hota hai..
K jisko jitna sambhalo,
Utna hi door chala woh jata hai !

De jata hai sirf kuch ahsaas,
Phir sabkuch pehle sa hota hai ..
Karta hai kuch shikwa-shikayat,
Dil, lekin phir se shamil duniya hota hai..

Naa thamegi uski zindagi,
Naa yahan kuch rukta sa dikhta hai
Malum hai tum sambhal jaaoge,
Dard toh sirf khone ka ikshayar ko milta hai .!

Comments