Ager Main Yeh Janta

Ager main yeh janta
Tere pass Dil Nahi
Balkah Seeny main
sang e mur mur ka ik tukra hai
to meri jaan
kabhi na tum se dil lagata
kabhi na tum se pyaar kerta

Ager mujhe es ka ilam hota
kah sabez ankhain
to bewafai ki hain alamat
kabhi na main
en main jhank ker
tum se
apni ankhon ko chaar kerta

Ager mujhe es ka ilam hota
ke teri zulfon k jaal main
main ulajh ke
phir na nikal sakon ga
kabhi na main
unn k saye main beth ker
gum apna iqrar kerta

ager mujhe es ka hota ihsas
husan tera fareeb tha
khud meri nazar ka
kabhi na be ikhtiaar ho ke
main apni jaan o dil ko
tum per nisaar kerta

mager meri jaan
sach to yeh hai
haqeeqatain talakh hi sahi per
kadi jawani ke
garam khoon ki harartoon main
tamam jazbaat andhy hoty hain
khawahishon ke ubalty lawey ke samnay
kuch nahi theherta
jo apny jadbaat ke sumader main doob jaye
hazar koshish kare
phir nahi ubherta

Isi liay Jaan
sach to hai
yeh sara kuch janty huye bhi
main manta hoon
main janta hoon
yeh dil mery apny buss main hota
YA MUJH KO BE IKHTIAAR KERTA
MAIN PHIR BHI
TUM SE HI PYAAR KERTA!!

Comments