Ye bhii mumkin hai ke usnay mujhko peh-chana na ho

Ye bhi mumkin hai ke usnay mujhko peh-chana na ho,

Teraa kaun aayaa raaste aaiinaa-khaane ho gaye,
Raat raushan ho gayi din bhii suhaane ho gaye,

Kyon havelii kay ujad-nay kaa mujhe afsos ho,
Saikdon be-ghar parindon kay thikaane ho gaye,

Ye bhii mumkin hai ke usnay mujhko peh-chana na ho,
Ab usay dekhe hue kitnay zamaane ho gaye,

Jaao un kamron kay aaiine uthaakar phenk dou,
Ve agar ye keh rahein hon ham puraane ho gaye,

Meri palkon par yeh aansuu pyaar kii tauhiin hai,
Unkii aankhon se giray motii kay daane ho gaye,

Comments