Main bazaahir mutma’in hoon yuun to apni jaga

Wo meri tanhai main
Wo mere veerano main
Tooti meri umeedon main
Ujardte afsaano main
Bikharti saason ki dor main
Un bheegi palkon ke mausom main
Un sookhe hothon ki jalan main
Un toote sapno ki chubhan main
Us dard main, us pyaas main
Us dafni hui aas main
San’naaete main gum sadaon ki tarah
Bina bares door hoti ghataon ki tarah
Tumhe yaad karoon jab ki bhool paata nahin,
Aakhen kya khulengi jab ki ye khawab ab jaata nahin….
Aakhen kya khulengi jab ki ye khawab ab jaata nahin….

Comments