KYO AAJ TUMPAR GAZAL LIKHNA CHAHTA HOO MAI

kyon aaj tumpar gazal likhna chahta hoo mai,
kyon na chaahkar v tumhe sochata rehta hoo mai,

kyon tumse dur jaane k naam par darr jaata ho mai,
kyon teri ek jhalak paane ko taras jaata hoo mai,

kyon teri tasveer ko aksar ghoorta rehta hoo mai,
kyon teri tasveer apne saath liye firta hoo mai,

kyon tumhe apni zajbaat batana chahta hoo mai,
kyon tumhe apna banna chahta hoo mai,

kyon tum mujhse door bahut door chali jaati ho,
kyon nahi tum meri chahat ko samajhpati ho,

kyon har baat jaban se bataani padti hai,
kyon nahi khamoshi hi sab_kuch kehti hai,

kyon teri udaasi par ro padta hoo mai,
kyon nahi tere saare gam le sakta hoo mai,

kyon tere ruksaar choomna chahta hoo mai,
kyon tumhe baahon me bharna chahta hoo mai,

aakhir kyon tumhe paana chahta hoo mai,
kyon tumhe apna banana chahta hoo mai,

Kyon aaj tumpar gazal likhna chahta hoo mai

Comments