Hamari Baat Kabhi Sun Liya Karo.......

Zikar jab chir gia un ki ungrai ka
Shaakh se phool youn toot kar gir padey

Jaise dulhan koi pyar ki goud main
Zindagi k mazey loot kar gir parey

Hoti nahin wafa to jafa he lia karo
Tum bhi to koi rasm-e-muhabbat ada karo

Hum tum pe mar mitte to yeh kis ka kasoor hai
Ayna le k hath main khud faisla karo

Ab hum pe kisi bat ka hota nahin asar
Minnat karo sawal karo iltja karo

Sharminda hoon k mout bhi ati nahin mujhe
Ab tum he mere liay koi baddua karo

Baitho na mahfilloon main zamana kharab hai
Dekho hamari bat kabhi sun lia karo

Comments